Shayarana si hai Zindagi ki Fiza…
July 12, 2008
“Koi mausam ho, dil mein hai tumhari yaad ka mausam
Yeh badla hi nahi jaana, tumhare baad ka mausam.
Nahi tu aazma kar dekh lo kese badalta hai
Tumhare muskurane se dil-e-naashad ka mausam.
Kahin se us haseen aawaz ki khushboo pukaregi,
Tu uske saath badlega dil-e-barbaad ka mausam.”